Kisi ki kilkariyo ne us angan k phol khilaye they,
wo phol aj uski moot par murjaye they!
babul ne ladh se kafan use udhaye they ,
kuritiyo tale na jane kitne masum shav dafnaye they!
en k bade hote h dahej lobhiyo ka man lalchaye they,
saat vacahan ki aad me enhone apne bete bikwaye they!
seeta ki agni parikhsha ho ya,sati ka khud ko swaha karna,
har bar aurat ne hi apne kartavya nibahye they!
Puchiye zara jakar un matao k hall,
jin k garbh ling bhed ki paramparao k tale kuchalwaye they!
sukh jate hai har hatya k baad us lachar maa k aansun,
bete k intazar me jinhone betiyo se piche chudwaye they!
yug badale ,sadiya badali,badal gai hai aj retiya bhi,
betiyo k liye kal se aj tak apne hi ghar k angan paraye they!
betiya to hoti he ahi paraya dhan ye kah kar,
pakhshpat k jhande in rodhiyo ne har yug me faharaye thay!

No comments:
Post a Comment