Sunday, May 8, 2011

KITNE

Mehafoz rakhe hai mene dil me apne,
mohabbat k fasane kitne..........
Dil me hai dard dabane k,
bahane kitne!
Khusi ati hi nahi hai,
dehliz par meri....
gam-e-duniya k bhi hai,
fasane kitne!
Saye ki tarha,
sath chalta hai koi mere.....
us shaks k pas bhi hai mere sath chalne k,
bahane kitne!
Alfazo se jo saja di thi ,
mahafil humne......
diye to usi ne apne ,
nazarane kitne!
Kalamo par mene,
jo luti thi tarife itni....
us me dafn the,
us k afsane kitne!
Rubaro jo aaine me,
apni haqikat se hue ......
to sachhai ne bhi bata diye mujhe jhoote,
bahane kitne!
Dubi rahti hun me hardum,
panno ki gahrai me..........
dil me hai us ki yaad k,
kasahne kitne!
Andhero ki tanhai me,
beth jate hai jub hum....
to naam ankhon k liye bhi hai,
sirhane kitne!
Jine k liye kai bar nayi zindagi mili mujhe .....
magar,
marne k bhi hai mere pas bahane kitne!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!



No comments:

Post a Comment